Friday, September 3, 2010

Bewafai


Bewafai ka gila kaise karain,wafa to hum bhi na kar sake
Qasmain jo khai thi,hum bhi to puri na kar sake

Bicharh ke hum se wo bhi to humain yaad karte hongey?
Hum bhi to firaaq mai unke na ji sake, na mar sake

Sadiyaan guzaar dee unse milne ki umeed par
Or waqt-e-wasl ek pal bhi intazaar na kar sake

Bigarh gai hai humari muhabbat ki daastaan Naz
Bigrhi hui shey itni asani se na sanwar sake

--Perinaaz

No comments:

Post a Comment